Teen Talaaq Aur Humara Kanoon

Talaaq... ye kaisi bala hai? Iski hume zaroorat kiyun hai? Pati aur patni ke bich aakhir aisa kya hota hai jo unhe talaaq hi ek rasta nazar aata hai. Aisa koun sa rista hai jisme mann mutao nahi hote iska ye to matlab nahi ki hum uss ristein se hi chhutkara paane ki zid par add jaye.

Kya ye munaseeb nahi ki hum un risto ko sudharne ki gunjaish kare, "Teen Talaaq" ye maslaa kal bhi muhje naa gawar tha aur aaj bhi mujhe naa gawar hai. Muslim auratein kal bhi haasiye par thi aur aaj bhi haasiye par hi hai, chahe waqt kitna bhi badal kiuyn naa gaya ho. 

Hinduon me talaaq ke baad aurton ki zindagi me khasa koi badlaw nahi aata wo apni zindagi pahle ki hi tarah jee sakti hai, par muslim aurtein talaaq ke baad dojakh ki zindagi guzarne ko mazboor ho jaati hai.
Ye Teen Talaq sirf ek talaaq nahi unke liye maansik pratadna hai, in teen shabdon ke baad unki zindagi bikhar si jaati hai.

Baat chal rahi hai isse khatm karne ki to Muslim Personal law ko isse aitraaz hai kiuyki isse unka varchaswa khatre me padta dikh raha hai.

Suprime Court ne pahle hi apni ek raaye di thi ki desh ka kanoon sabke liye ek samaan hona chahiye kya ye vichar sahi nahi agar Muslim personal  law bhartiya sanvidhan se upar khud ko sarvapari manane lage tab to har dharm apni apni apni board ko samne laane lagenge aur saare faisle khud hi karne lagenge tab iss desh me kisi bhi kanoon vewastha ki zaroorat hogi hi nahi hogi.

Mere nazar me to iss desh me kisi bhi personal law board ki zaroorat nahi hai agar baat Talaaq ki aaye bhi to iska faisla SC hi kare

Sarkaar ko chahiye ki wo ek aisa sakht kanoon laaye ye sunichit kare ki desh ka kanoon hi sarvapari hai koi personal law board nahi, nayaae sabhi ke liye saman hogi chahe wo kisi bhi dharm ka ho ya kisi bhi jaati ka.

Saath hi saath ye bhi sunichit karna hoga ki nayaae paane ka ek hi zariya hai wo hai humare desh ki nayae paalika.

Hume desh me har dharm me samanta laani hogi tabhi sache mayne me humari sanvidhan ki prastavna sahi saabit hogi.

                                           Anurag Shrivstva

Comments

Popular posts from this blog

आज दिखाते है कैसे अपने ही नज़रो के सामने इंसानियत मरती है?

मुजफ्फरपुर को भी सुलगाने लगा हैं "पद्मावत" का आग

बिहार झारखंड में दिखा चंद्रग्रहण